nadan ali asghar mere tanhai may hona na pareshan ali asghar nadan ali asghar
jhoole ko jo choray ho to aa tujhko sawaroon shish maah mujahid tere sadqe bhi utharoon dil apna sambhalegi teri maa ali asghar nadan ali asghar...
hal min ki sada sunte hi ay nasir e shabbir kehte huwe labbaik giray farsh pe baysheer ho roohe ali aayate quran ali asghar nadan ali asghar...
takte hai teri raah ali aur payambar islam bachana hai tumhein khoon may naha kar hona hai tujhe deen pe qurban ali asghar nadan ali asghar...
mil jayega ammu tera abbas wahin par qasim bhi milega wahin mil jayega akbar hone nahi denge tujhe naala ali asghar nadan ali asghar...
do baara zibha kar diye jaoge meri jaan fariyad na karna pisar e shah e shaheedan baba hai tere faqre sulaiman ali asghar nadan ali asghar...
athara baras ke tere bhaiya ki wo zarbat baatil ke liye maut banata ba qayamat azaan e ali akbare zeeshan ali asghar nadan ali asghar...
tujhko na mila doodh na ek boondh bhi pani royegi teri yaad may darya ki rawani jaa tumpe hai qurban teri maa ali asghar nadan ali asghar...
nauha padhe jab tere nazeer gham may tadap kar matam kare har ahle aza ashk baha kar hai aashiq e na-cheez ke armaan ali asghar nadan ali asghar...
|
|