mere nana ka kalma padte ho insaf karo ay sham walon meri maa zahra baba hai ali ay logon mera nana hai nabi main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar meri main zainab hoon kuch sharm karo
mai yasrab ki shehzadi hoo hai bhai mere sardaar e jina mai sharm o haya ki makhdooma hai iski gawahi kaun o makaa hai mere labo'n par gham ki azan chadar jo chini mar ja'ungi main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
bhai pe mere kyun baaghi ke ilzaam lagaye hai tumne saadaat ki aamad se pehle bazaar sajaye hai tumne gham mere badhaye hai tumne dil thaam ke mai ye kehti rahi main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
is tarah mohamad ke dil ko tum logon ne pamaal kiya sadqe ki khajuro'n se tumne sadaat ka isteqbaal kiya sadmo'n ne mera ye haal kiya tasbeeh hi meri ye baat bani main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
galiyon may charagha hota hai aur aal e payambar roti hai naize pe baradar rota hai aur aal e payambar roti hai is baat pe khwahar roti hai tum haste rahe mai roti rahi main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
baalon ki safedi par meri meelon ki musafat roti hai na paak nigahein uth'ti hai sajjad ki ghairat roti hai is baat pe qismat roti hai be jurm o khata kyun qaidi bani main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
be-parda mujhe dekha hi nahi suraj ne kabhi baba ki qasam mehmil ke bina nikli na kabhi hai yaad mujhe wo jaah o hasham karti hoon buka har ek qadam mehmil ke bina main sham chali main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
tareekhe sitam dohrayi gayi mujhe jeete ji jo maar gayi amma ki tarha se zainab bhi peshi ke liye darbar gayi aur sar se mere dastaar gayi darbar talak ye kehti gayi main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
hai kund zabaanein aur qalam ashkon ko zaban kar sakte nahi irfan aur mazhar chahe bhi zakhmon ko ayaan kar sakte nahi rudaad bayaan kar sakte nahi kyun kehna pada bibi ko meri main zainab hoo kuch sharm karo na cheeno chadar...
|
|