mere raaj dulaare qasim haye qasim haye qasim farwa ke labon par maqtal may thay dard ke naare qasim
hai chashme falak purnam purnam hai arsh pe bhi tera matam rote hai teri pamaali par ye chand sitaare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
pardes may phirte hai dar dar ghurbat ki ghatayein hai sar par ab kaun hamay pahunchaye watan jab tum hi sidhaare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
tum mujhse juda yun hote ho kyun khaak pe bikhre sote ho maqtal se palat kar aa jao maa tumko pukaare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
waari bhi hua nazron se niha aur tum bhi sidhaare suye jina ye umr meri guzregi bhala ab kiske sahare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
tu teen dino ka pyasa hai kausar may talatum barpa hai teri pyas pa girya girya hai taqneem ke dhaare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
ki fauje jafa ne kaisi jafa jeete ji tujhe pamaal kiya yun dasht may tum bikhre jaise quran ke paare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
is soone soone jangal se tum karbobala ke maqtal se ay laal palat kar aajao maa tumko pukaare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
rotay thay haram phat-tay thay jigar hota tha bapa us dam mehshar jab kehti thi ye dukhiya ro kar mere aankh ke taare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
qairaat pe shahe zeeshan ki rakh laaj bilal o irfan ki mehshar may khade hai ye dono ab tere sahaare qasim haye qasim mere raaj dulaare qasim
|
|