mayyat jawan pisar ki uthayi hussain ne
saari kamayi apni lutayi hussain ne
ummat ki nao paar lagayi hussain ne
dunya ko haq ki raah dikhayi hussain ne

qasim ko de diya ali akbar ko de diya
bhai ko de diya ali asghar ko de diya
raahe khuda may apne base ghar ko de diya
izzat khuda ke deen ki bachayi hussain ne
mayyat jawan pisar...

baakhi na be-zuban hai na akbar sa mehlakha
abbas e jaan wafa hai na qasim sa dilruba
har haal may hussain ne shukre khuda kiya
peshani hukme haq pe jhukayi hussain ne
mayyat jawan pisar...

islam par thi kufr ki chaayi hui ghata
bechain thi lehad may udhar roohe mustufa
sar de ke apna shah ne deen ko bacha liya
bujhti hui ye shamma jalayi hussain ne
mayyat jawan pisar...

kha kar sina jo seene pe akbar guzar gaye
pakde huwe kaleje ko sheh laash par gaye
bolay ye roke ay mere dilbar kidhar gaye
tanha pisar ki laash uthayi hussain ne
mayyat jawan pisar...
Noha - Mayyat Jawan Pisar

Nohaqan: Azadari Murshidabad
Download Mp3
Listen Online