hussain mera hai kehte hai zamane wale ke baadshahi har ek dil pe hai ab tera hussain nahi hai deen o mazahib ka yahan koi bandish ye tera ishq hi sar chad ke bolta hai hussain
hussain se ye deen hai wo deen jo azeem hai khaaliq bhi kya kareem hai banaya usko is tarha baatil se jaake wo lada yazeediyat ke chehre se naqaab ko ulat diya
hussain uska naam hai jo warise quran hai rasool e paak ne kaha mai isse hoo wo mujhse hai khuda ne badke di sada zibhe azeem tu bana ay nafse mutmainna tera intezar mujhko hai
jisne raza e haq ke liye jaan ko qurban ki deen e payambari ke liye jaan ko qurban ki jisne azeez aqroba ko deen pe qurban ki maula hussain hussain maula hussain
insan pe har aan tu ehsan bana hai maula hussain... har ek azadar ka pehchan bana hai maula hussain...
uska lahoo to zarbe hai karbal ki zameen may na sochna wo dab gaya karbal ki zameen may insaniyat ko jazbaye emaan diya hai maula hussain... insan pe har aan... maula hussain... har ek azadar ka... maula hussain...
kaaba bacha quran bacha deen bhi bacha lekin hussain ka bhara ghar hoaya taba ay faqre mohamed tu nawasa wo mera hai maula hussain... insan pe har aan... maula hussain... har ek azadar ka... maula hussain...
hai fikr na gham jaan lutane ka zara bhi kya josh hai himmat hai qasam rabbe jahan ki raahe khuda may shauke shahadat sikhaya hai maula hussain... insan pe har aan... maula hussain... har ek azadar ka... maula hussain...
qasim kabhi akbar kabhi abbas sa bhai ran may shaheed hote thay har ek sipaahi apne zaeef kaandhe pe laasha uthaya hai maula hussain... insan pe har aan... maula hussain... har ek azadar ka... maula hussain...
kaante paday hai pyas ki shiddat se zaban may aur garm hawa garm zameen dashte bala may aasan na tha aisa jihad usne kiya hai maula hussain... insan pe har aan... maula hussain... har ek azadar ka... maula hussain...
zehra ki duaon ka talabgaar hai aazam ahsan padho nauha karo sar peet ke matam shauke ghame hussain to naslo ka pata hai maula hussain... insan pe har aan... maula hussain... har ek azadar ka... maula hussain...
karbobala may zulm huwe aap pe maula kyun zibha kar rahe ho isay koi na bola khoone hussain dekh ke roti rahi zehra aur kaat ke sar shimr e layeen masti may dola sar nauke sina par liye khush hote thay aada aur khaak pe bekas may pada tha nabi zaada sajjad ne qaime ka jo parde ko uthaaya bas khoon may tar baap ka chehra nazar aaya sar peet ke zainab ne kaha wa musibata pyasa hussain maara gaya wa musibata
|
|