matam hai saamara may imam e hassan ka aaj saaya saron se utgaya shaah e zaman ka aaj
roti hai sar ko peet ke narjis ba-haal e zaar bewa hui, veeran makaan ho gaya hai aaj matam hai saamara..
khairunnisa ko haye rulaya mazaar may taaza hua phir matam e karbobala hai aaj matam hai saamara..
chora najaf ko saamara pahunche hai murtuza matam kuna habeeb e khuda khuld may hai aaj matam hai saamara..
hai chaak gareban aur sar hai khula hua haye khaak sar pe daale imam e zamaan hai aaj matam hai saamara..
ghurbat may hum ko choray chalay haye baba jaan bekas yateem jahan may tanha hua hai aaj matam hai saamara..
ghusl o kafan diya aur lehad may lita diya lo khaak e saamara bani khaak e shifa hai aaj matam hai saamara..
qudsi wo chand chup gaya badal ke darmiyan ghaibat shuru imam e zamaan ki hui hai aaj matam hai saamara..
|
|