masjid e kufa se logon aa rahi hai ye sada
jo nabi ka ja-nashin tha wo ali maara gaya

jis ki aamad ke liye dewaar e kaaba shak hui
halaat e sajda may uska khoon masjid may baha
masjid e kufa...

saazishein ahle saqeefa kaam apna kar gayi
aaj sajde may ali par chal gayi taygh e jafa
masjid e kufa...

kufiyon khushiyan manao qatl hyder ho gaye
khana e zehra may lekin aaj hai matam bapa
masjid e kufa...

kis tarha zainab ne sunli ye qayamat ki khabar
hausla bibi ko koi dene wala bhi na tha
masjid e kufa...

ambiya noha kuna hai rote hai jinn o bashar
jaa raha hai aaj dunya se ali sher e khuda
masjid e kufa...
Noha - Masjid e Kufa

Nohaqan: Sajid Hussain Jafri
Download Mp3
Listen Online