maqtal hai waqt e asr hai tanha hussain hai
zaalim hai beshumar akela hussain hai

ghayre huwe hai fauje sitam char samt se
teeron ka khanjaron ka nishana hussain hai
maqtal hai waqt...

nasir tamam farz e wafa ko nibha chuke
yaadein hai aur bekas o tanha hussain hai
maqtal hai waqt...

akbar ko kho chuka ali asghar ko ro chuka
kis darja dil figaar o shikasta hussain hai
maqtal hai waqt...

ummat ne dushmani e ali may bhula diya
payghambar e khuda ka nawasa hussain hai
maqtal hai waqt...

kehde koi sakina se daaman ko chor de
ab aakhri safar pa rawana hussain hai
maqtal hai waqt...

zad par hai aabroo e kalaab e khuda hilal
maqtal may aayaton ka sahara hussain hai
maqtal hai waqt...
Noha - Maqtal Hai Waqte Asr Hai
Shayar: Hilal
Nohaqan: Irfan Hussain
Download Mp3
Listen Online