suno ay ahle aza dard naak ye manzar kisi ne poocha jo qayam imam se rokar imam rote hai kyun is maqam par aakar to sar ko peet ke bolay ye shahe jinn o bashar haye na is maqam pe kyun askari ka chain giray ye wo zameen hai jahan zeen se hussain giray
na is maqam pe kyun askari ka chain giray ye wo zameen hai jahan zeen se hussain giray maqame sahib az zaman hai ye
isi maqam pe ab tak faraat roti hai galay lipat ke khaza se hayat roti hai tamam karbobala saath saath roti hai haye ek maa to yahan saari raat roti hai na is maqam pe... ye wo zameen... maqame saahib az...
isi maqam se ghazi ko sheh ne di thi sada na dekha tumne hamari ladayi ko bhaiya ye keh rahe thay ke bas hurmala ka teer laga ghareeb e zehra yahan zeen par sambhal na saka na is maqam pe... ye wo zameen... maqame saahib az...
har ek imam ko khoon is jagah rulaya gaya jo shamiyon ke tha bas may wo zulm dhaya gaya yahan pe ghayr ke tishandhan ko laaya gaya gira kahan yahan mazloom ko giraya gaya na is maqam pe... ye wo zameen... maqame saahib az...
ajeeb haal may dekha tha shah ko maa ne na maut aati thi na saans itne zakhmi thay isi maqam pa zahra ne apne bete ke badan se teer nikaale thay apne haathon se na is maqam pe... ye wo zameen... maqame saahib az...
yahin pa shimr ne socha ho kaise andaza ke mar gaya hai ya zinda hai dilbare zehra qayam loot lo zainab ke si phir usne sada tadap ke uthay thay zainab ke naam par maula na is maqam pe... ye wo zameen... maqame saahib az...
ali ke laal ki aankhon may tha wohi manzar giray thay jis jagah barchi ke waar se akbar jawan laal ko rone ki aarzoo lekar yahin se ghutniyo chalte huwe gaye sarwar na is maqam pe... ye wo zameen... maqame saahib az...
chale thay ghutniyo akbar ki laash tak maula yahan se aagay takallum bayan kya ho bhala ghareeb kaise bhala qatl gaah tak pahuncha yahin se zulfein pakad kar layeen leke chala
|
|