maidane karbala may wo akbar teri azaan
sunkar hussain rodiye nehre fughaan thi maa

aayi sehr payaame ajal may dhali hui
maghmoom tere sehre ki ek ek kai hui
zainab tamaaam shab rahi sajdo ke darmiyaan
maidane karbala may....

ye wo azaan thi jisme tha lehja rasool ka
usme dikhaayi deta tha sajda batool ka
isme namaziyon ka musalla tha aasmaan
maidane karbala may....

haa ek azaane arsh ka suraj raza diya
itne dilon may shaukhe shahadat badha diya
sunkar habib ibne mazahir huw jawaan
maidane karbala may....

thi ek azaaan sehr ki to ek asr ki azaan
tha kitna farkh dono azaano ke darmiyaan
akbar azaane asr talak kha chuke sina
maidane karbala may....

armaan teri shaadi ka poora na ho saka
kanga bandha na mehndi lagi wa musibata
behno ke dil udaas hai nowha kuna hai maa
maidane karbala may....

baali sakina nayg may ab kya talab kare
karbobala larazti hai zainab ke bain se
khaakar  sina rawana hue tum suve jina
maidane karbala may....

shaame ghareeba aagayi qaime sulag uthay
bache tamaam khaakh pe aate hi sogaye
akbar phuphi ke shaano may bandti hai raysma
maidane karbala may....

khanjar talay hussain ne tumko kiya tha yaad
maa zinda laash hogyi akbar tumhare baad
aise gaye ho ghar se ke milta nahi nishaan
maidane karbala may....

humshakle mustufa thay dilon ka qaraar thay
tum to zaeef baap ka daaro madaar thay
hai tere baad gulshane shabbir may khiza
maidane karbala may....

nasir jawani-e-ali akbar ka waasta
nowhe may apne jis ghadi rehaan ne diya
sar par ridaaye zehra hui misle tha-yebaan
maidane karbala may....
Noha - Maidan e Karbala May
Shayar: Rehaan Azmi
Nohaqan: Nasir Zaidi
Download Mp3
Listen Online