sarwar ka gala khushk tha aur kund tha khanjar reh reh ke phirata tha layeen sookhe galay par teeron pe muallaq raha shabbir ka laasha maa kehti rahi godh may aaja mere beta
mai pyasa tahe taygh tadapta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma
kat-ta tha gala mera qayamat ki ghadi thi zainab dare qaime se khadi dekh rahi thi khanjar mere halqoom pe chalta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
gehwara jhulate thay kabhi jiska farishte is tarha usay qatl kiya shimr e layeen ne pyasa dam e aakhir mai tadapta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
wo hota jo zinda to mujhe kuch nahi hota aaja ta madad ko mera abbas kahan tha laasha mere bhaiya ka larazta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
tapte huwe sehra pe ajab zulm tha mujhpar amma wo sitamgar ka bahot kund tha khanjar kat-ti thi ragay jism uchalta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
thay zakhm bahot hi tane mazloom pa amma khanjar tha rawan shimr ka halqoon pa amma pehlu may jo naiza tha wo chubta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
tanha tha mai har simt se ghere thay sitamgar abbas na zinda thay na zinda ali akbar sadma mujhe in sab ka rulaata raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
aisa tahe khanjar tha guluye shahe waala ha zer e tan e shah wo tapta hua sehra har saans pe takleef utha-ta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
sarwar ke masaib pe zamana hai tadapta pur zard ye nauha jo mubarak ne hai likha is bain pe rehan tadapta raha amma aur saamne behta hua darya raha amma mai pyasa tahe....
|
|