mai pyasa hoo amma hai khushk gala mera aur saamne hai darya mai pyasa hoo amma
tumne to sada apne pehlu may sulaaya hai jab pyas kagi mujhko khud pani pilaya hai seh roz se ab maine pani hi nahi dekha mai pyasa hoo...
khanjar meri gardan par, ab shimr chalayega amma ye sama tumse dekha nahi jayege jalti huwi reti par karna hai mujhe sajda mai pyasa hoo...
zakhmo may mere amma hai rayt bayaban ki jalta huwa sehra hai saaya bhi nahi koi mai maalike kausar hoo hai phir ye sitam kaisa mai pyasa hoo...
ab hum nahi aayenge zainab ko bata-dena masoom sakina ko tum pani pila-dena hargiz na pukarega ab aap ka ye beta mai pyasa hoo...
har haal may darya par abbas ko jaana tha ye mashke sakina to bas ek bahana tha dil uska bhi jalta tha ghaza bhi samajhta tha mai pyasa hoo...
humshakle payambar ne jis dam se azan di hai us dam se layeeno ne mohlat hi nahi di hai ab aap ki godhi may hai yaad mujhe aaya mai pyasa hoo...
bachpan se ye aadat thi jab pyas mujhe lagti bin maange huwe ghazi le aata tha khud pani le aaye zara pani ghazi ko sada dena mai pyasa hoo...
kausar pe mera lashkar jis waqt gaya hoga har chota bada jaakar baba se mila hoga har ek ne ye jaakar unse bhi kaha hoga mai pyasa hoo...
ay mir takallum wo manzar tha bhala kaisa royi jo nabi zaadi ek shor e qayamat tha jab chalne laga khanjar kehte hi rahe maula mai pyasa hoo...
|
|