goonji ba waqt asr sada mai hussain hoo kaato na mera khusk gala mai hussain hoo
sookhi hui hai shimr mere halq ki ragein aahista tu churi chala mai hussain hoo goonji ba waqt...
amma kisi ne pani ki ek boondh bhi na di mai baar baar kehta raha mai hussain hoo goonji ba waqt...
kat ta hua gala mera dekha na jayega nana mai hoo nawasa tera mai hussain hoo goonji ba waqt...
be bazuon ki laash tadap kar ulat gayi aayi furaat par jo sada mai hussain hoo goonji ba waqt...
zaanu pe rakh ke sar ko kaha ek zayeef ne akbar kahan hai dard bata mai hussain hoo goonji ba waqt...
ay shamiyon kafan na diya mujhko gham nahi dedo meri behan ko rida mai hussain hoo goonji ba waqt...
mehsoos ab bhi hota hai ye zaaireen ko rauze se aa rahi hai sada mai hussain hoo goonji ba waqt...
aisa laga raza ke shanawar se fatema kehti hai baar baar suna mai hussain hoo goonji ba waqt...
|
|