luti kin fizaon may aale payambar na mai keh sakoonga na tum sun sakoge hua kaise khaali ali ka bhara ghar na mai keh sakoonga na tum sun sakoge
lagi dil pe barchi jigar moo ko aaya sada aayi maqtal se baba kahan ho chale kis ka laasha uthane ko sarwar na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
wo khoonkhar sehra wo wehshi hawaein wo sunsaan jangal wo maa ki sadayein kahan sogaye jaake jhoole se asgahr na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
bada shimr khanjar liye kiski jaanib pukaara tha maqtal se kis ne ali ko nazar aaya sar kiska noke sina par na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
kahoon umme laila ka mai haal kaise bayan kya ho kulsoom ki bebasi ka utaari gayi kaise zainab ki chadar na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
na poocho nakhad si taari thi kis par na poocho kise ghash pe ghash aa rahe thay ab aise may jalne laga kiska bistar na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
sataya tha ghurbat may kisko shaki ne kahoo kaise ruqsaar thay kiske zakhmi tamachay lagata tha kisko sitamgar na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
wo be-chadari wo aseeri ka aalam wo pur-haul sehra wo bedafn laashe wo shame ghareeba ka dil soz manzar na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
viqar aah kis dil se ab mai bataun jo guzri hai zainab ke qalbe azeen par wo bazaar o darbare koofe ka manzar na mai keh sakoonga.... hua kaise khaali....
|
|