waqt e aakhir ye kaha akbar ne baba jaan dekhloo ek baar phir se behna ko jo hai wahan haa usi lamha magar aayi madine ki zameen kar rahi thi ye bayan sar ko jhukaye nazneen
lene aao bhai mujhko ghut raha hai dam yahan
sar pe apne sar ko rakh kar keh rahi thi nazneen bhai akbar lene mujhko ab talak aaye nahi yaad may teri ye behna mar na jaye bhai jaan lene aao bhai...
aankhon se uske bahe jaate thay ashkon ke chiraag bekasi aur bebasi ka dil may tha uske jo daagh maathe ki har ek shikan se uth-ta tha gham ka dhuan lene aao bhai...
hogayi hai wo tiyaakhe gham may is tarha nidhaal dekh kar sunsaan dar ko lochti thi sar ke baal yaad aate hai jo akbar sunti thi jab bhi azan lene aao bhai...
baap ki shafqat kabhi aur maa ki mamta thi kabhi bhai behno ki mohabbat pyar karti thi phupi phirta tha aankhon may uske har ghadi saara samaan lene aao bhai...
haye bemaari ka aalam uspe hai tanhaai choomti hai bhai akbar ke khadmon ke nishan ashkon se likh likh ke khat may kar diya sab kuch bayan lene aao bhai...
baith kar din bhar musalle par ye karti thi dua kunbe se mere milaado mujhko ay behre khuda ghutniyon chalta ab hoga mera asghar be-zuban lene aao bhai...
dil ka khoon ban kar siyaahi karta hai ahmed raqam aur rahega ta qayamat dil may ye irfan ke gham sogh may tere ay bibi rota hai saara jahan lene aao bhai...
|
|