sher e ali ki aamad hai ye aate hai darya pe alamdar lashkar may badi dhoom hai aate hai darya pe alamdar lashkar may badi dhoom hai
jab chala mashk o alam le kar wo saqqa e haram tha ali jaisa hi alamdar ka ja ho hasham keh utha darya hai iske paas hyder ka alam chor de saahil ko pehredaar lashkar may badi... aate hai darya pe...
al ama ka shor utha yak ba yak maidan may yun laga ke gir hi jayega falak maidan may maut ka nara ye goonja door tak maidan may aagaye kya hyder e karraar lashkar may badi... aate hai darya pe...
taygh se likhega ye jarraar khissa maut ka ek pal tootega na aada se rishta maut ka hai faras tera sare maidan farishta maut ka aaj tu hai bar sar e paikaar lashkar may badi... aate hai darya pe...
har qadam rahwaar ke humraah chalti hai qaza hai dhamak aisi larazta hai ye dashte nainawa ab teri talwar se pani piyegi alqama ay khudayi fauj ke salaar lashkar may badi... aate hai darya pe...
zulf hai toole shabe meraj ki tasveer si hai jabeene naaz koh e toor ki tanveer si hai teri nazron may tezi hyderi shamsheer si haan teri aamad ki ay jarraar lashkar may badi... aate hai darya pe...
sunte hi us sher ki lalkaar lashkar may badi... aate hai darya pe...
masroof thay jihad may abbas e bawafa nagsah aayie qaime ki deodi se ye sada kya ab sakina pyasi hi mar jaaye ay chacha kab tak ladoge fauj se bas ho chuki wegah sukhe huye labon pe meri jaan aayi hai ay noor e chashm e saaqi e kausar duhaai hai
hal khissa pahuncha saahil e darya pe ba wafa hathon se darya cheen ke mashkeeza bhar liya mashq o alam sambhaal ke qaime ka rukh hiya barse wo teer mashq chidi aur alam gira pani na pahuncha pyason ko ay waye alqama baazu kata ke sher bhi darya pe so gaya ay mazhar o farhan qayamat hui bapa hathon se kamar thaam ke aaye shahe huda bhai ko zakhmi dekh ke noha yehi kiya
|
|