ek waaris e hyder hai jo ghaib se aayega labbaik labbaik ya saahibaz zamaan kya shay hai azadari dunya ko batayega ek waaris e hyder...
kaabe se alam lekar is shaan se niklega quran o imamat ka juzdaan se niklega tauheed ke jalwon may islam nahayega labbaik labbaik... ek waaris e hyder...
is sher ki aamad ka andaaz ajal hoga ghazi ki nigahon may hyder ka ghazab hoga bhoole se koi bhi phir kaabe may na aayega labbaik labbaik... ek waaris e hyder...
har dil may ziarat ke armaan bade honge isa bhi jama'at ki khwahish may khade honge jab apna musalla wo pani pe bichayega labbaik labbaik... ek waaris e hyder...
hamraah imamat ke abbas bhi aayenge shabbir ke khadmon may dunya ko jhukayenge labbaik ya abbas, labbaik ya abbas
saqqai ka mansab phir abbas sambhalenge sadiyon ki ladaai ka armaan nikalenge jab mashak e sakina wo parcham may sajayega labbaik ya abbas, labbaik ya abbas ek waaris e hyder...
socho to gunahgaron kya doge jawab usko sadiyon ki khayanat ka lena hai hissab usko zehra ke luteron ko qabro se uthayega labbaik labbaik... ek waaris e hyder...
shabbir ki ek majlis kaabe may bapa hogi allah ke ghar may bhi ye rasm ada hogi khud farshe aza apne hi hathon se sajayega kaabe may sada goonjegi hussain hussain hussain hussain
aflaak pe chamkega jab chand moharram ka kaabe may bhi ghul hoga shabbir ke matam ka ja ran ke liye akhtar dunya may tabahi hai hum ahle aza iske lashkar ke sipaahi hai munkir hai jo iska jannat na jayega
|
|