kya ghurbat hai ab koi nahi shabbir pe ab tanhai hai farzand e nabi par ummat ne afsoso qayamt dhayi hai
mazloom pukare ab kis ko akbar bhi nahi abbas nahi ye doshe nabi ka raakib hai ummat ko magar ehsas nahi pardesi ek musafir ko taqdeer kahan par laayi hai kya ghurbat hai...
maqtal hi nahi saara aalam hal min ki sada se goonj utha na fauj rahi salaar raha shabbir ka wo lashkar na raha seh roz ke pyase gardan may ye kaisi qayamat aayi hai kya ghurbat hai...
le aaye hai sarwar mashk o alam pyase pe huwa har zulm o sitam is aalam e ghurbat may lekin shabbir ko tha is baat ka gham dam todte bete ne ran may seene pe barchi khaayi hai kya ghurbat hai...
ek hashr bapa hai maqtal may jibreel ke lab par hai noha aulad e nabi ke qaimo se aati hai sada e wavaila shabbir ne haye ghurbat may akbar ki laash uthayi hai kya ghurbat hai...
ye khoon may tar nanha sa gala nana ko dikhana mehshar may ab khaak pe sona hai tujhko ye soch ke ran may sarwar ne hamshakle nabi ke pehlu may baysheer ki qabr banayi hai kya ghurbat hai...
farzande payambar par ran may nau laak ka lashkar toot pada afsos hai ab zer e kahnjar hai sibte nabi ka khusk gala kohram bapa hai maqtal may har simt udaasi chayi hai kya ghurbat hai...
ye kalmago ne socha nahi hai bose risalat ka ye makeen rota hai falak kaampi hai zameen hai khoon may tar pyase ki jabeen ahmed ke nawase ka lutna islam ki ye ruswayi hai kya ghurbat hai...
is ghalib ko pehchan muhib jo karbobala tak aaya hai ye baaghe fidak ka ghasib tareekh ne ye samhjaya hai kal qaatil e mohsin hai jisne qaimo ko aag lagayi hai kya ghurbat hai...
|
|