khichti hui zameen pa jo zanjeer e pa chali likhti hui mazaalim e joro jafa chali
ek do pahar may lut gaya kunba batool ka ay karbala ke dasht ye kaisi hawa chali
jalte huwe qayaam wo be-chaargi ki shaam abbas tum kahan ho behan be-rida chali
jab hurmala ka teer kamaan se reha hua nawak ke saath jaanibe asghar qaza chali
mud mud ke ambiya ki nazar dekhne lagi zainab maqam e sabr may wo raasta chali
faryad kar rahi thi rasan payshe kibriya jab qaid ho ke zurriyat e mustufa chali
dono ko parda poshiye ummat ka dhyan tha bhai tha be-kafan to behan be-rida chali
roodad e karbala koi zainab se poochle kis kis ko saath laayi thi aur leke kya chali
|
|