kaunsa ranj tha jo sheh se uthaya na gaya par koi shikwa zaban par kabhi laaya na gaya
chaha akbar ne ke dekhe na pidar zakhme jigar khoon is josh se ubhla ke chupaya na gaya kaunsa ranj tha....
hogaye mitke fana khud hi mitaane walay haa magar matame shabbir mitaya na gaya kaunsa ranj tha....
khaali jhoola kabhi bhoole se jhula deti thi maa jhoolna jhoole may asghar ka bhulaaya na gaya kaunsa ranj tha....
boli maa laashaye akbar ki balayein lekar tumko naushah mere laal banaya na gaya kaunsa ranj tha....
tukde tukde tha badan farq tha paara paara shah se laashaye abbas uthaya na gaya kaunsa ranj tha....
poocha jab bano ne kya hogaya mera asghar sheh ka sar jhuk gaya kuch moo se sunaya na gaya kaunsa ranj tha....
jis tarha sayyede sajjad ko pahunchi eeza koi bemaar bhi is tarha sataya na gaya kaunsa ranj tha....
rehgaya ab bhi isi baat ka gham dil may nisar rauza shabbir ka aankhon se lagaya na gaya kaunsa ranj tha....
|
|