karbala jaane walon meri arzi ye sheh ko sunana karbala jaane walon
sheh ki dehleez par sar jo rakhna kehna aisa bhi aashiq hai tera tujhse milne ko tadpe hai lekin usko majbooriyon ne hai ghera ibne mushkil kusha do bulawa kardo mumkin wahan uska aana karbala jaane walon...
jis jagah teer asghar ne khaya whan ye kehna ke ay shahzade naam par tere apne watan may hai bikhari sabeelein lagate roz o shab humko tadpaye rakhe tera tishna hi dunya se jaana karbala jaane walon...
dar pe ghazi ke ye jaake kehna door apne watan may dilawar gham manate hai abbas tera tera shayda alam ko saja kar hum faqeeron ko baabe hawaij jaldi darbar apne bulaana karbala jaane walon...
jis jagah khayi akbar ne barchi kehna kuch aise ghamkhar hai jo maange sehra utha kar duayein tujh pe hi ye jawani fida ho muntazir hai gada wo tumhare unko mehman jaldi banana karbala jaane walon...
tillaye zainabi pe ye kehna hai tumhare biradar ki nagri kaun rokega usko bhala phir jisko tumne ijazat ho dedi ay shaheedo ki waaris khudaya jald humko bulawa dilana karbala jaane walon...
jaaye qayyam may bibiyon ke jaake dena hamari salami bibiyon tum ne de kar ridayein deen ki aabroo hai bacha li muztarib jo apne watan may unse pursa yahan bhi karana karbala jaane walon...
jaake shohda ke marqad pe kehna ay mere shah ke jaan nisaron rad na hogi tumhari sifaarish tum jo kehdoge ay sheh ke pyaron jo nahi aa sake mere maula unko jaldi hi nagri dikhana karbala jaane walon...
mohsin e deen ke dar se to asif ab laut sakta nahi koi khaali kaise mumkin ho ke apni hasrat sheh ke darbar na ho poori gar dua ye suna dega zaair phir yakheeni hai apna bhi jaana karbala jaane walon...
|
|