baade ashoor ye zainab ke labon pe thi sada kaash abbas mera maara gaya na hota
pyas ke maare tadapti na sakina beti baap ke kaandhe pe na bete ki mayyat hoti yun na chalti mere shabbir ki gardan pe churi is tarha ujda na hota ye gharana mera kaash abbas mera... baade ashoor ye...
khelta asghar e baysheer mere aangan may haye cheh maah ka bacha nahi jaata ran may chid gaya nanha gala teer se uska ban may dushmano may kya koi saahibe aulaad na tha kaash abbas mera... baade ashoor ye...
haye maara gaya is dasht may mera lashkar qasim o aun o mohamed nahi na hai akbar turbate asghar e baysheer bana kar sarwar ashk se marqade baysheer ko sairaab kiya kaash abbas mera... baade ashoor ye...
kaun imdad kare aata nahi koi nazar betiyan jaati hai ahmed ki phirayi dar dar baaghi keh keh ke chalate hai wo hum par pathar yun na be-aas mohamed na hota kunba kaash abbas mera... baade ashoor ye...
sar khule koocha o bazaar phir aayi zainab be rida sham ke darbar may aayi zainab khoon ke ashk har ek pal hai bahayi zainab dil may gham leke bahattar ko hoo zinda bhaiya kaash abbas mera... baade ashoor ye...
baap ke seene pe soti thi sakina aksar ab mayassar hai usay khaak ka takiya bistar zaalimo kuch to taras khao meri bachi par baap ki laadli hai baap ki shafqat se juda kaash abbas mera... baade ashoor ye...
chal basa mursale aazam ka gharana saara haye zaalim ne sakina ko tamacha maara bibiyan peet ke sar dene lagi ye naara ghair hai charon taraf koi nahi hai apna kaash abbas mera... baade ashoor ye...
kisme himmat thi mere baandhta baazu may rasan noke naiza pe nahi hota sare shahe zaman kitne khush haal raha karte thay hum apne watan ye to acha hua karbal may na aayi sughra kaash abbas mera... baade ashoor ye...
akbar o asghar e baysheer na maare jaate ek ek karke na nana ke dulaare jaate sab mere saath watan aaj hamare jaate haye zindan may na rehti sakina tanha kaash abbas mera... baade ashoor ye...
sunke karbal may najaf zainab e muztar ka bayan shaah ke laashe se bhi hone lagay ashk rawan nehr pe tadpa udhar laasha e abbase jawan ashke afshan huwe matam may idhar ahle aza kaash abbas mera... baade ashoor ye...
|
|