jab zehr ka imame hassan par asar hua khoon e jigar se daaware didar batar hua
jadha tujhe imam pa dhaate huwe sitam khaufe khuda hua na zamane ka dar hua jab zehr ka imame...
aankhon se ashk behne lagay kayenat ki aalam ghame imam may zer o zabr hua jab zehr ka imame...
farshe zameen pa baith ke rone lagay hussain bhai ke saath ek safar muqtasar hua jab zehr ka imame...
larza thi qabr haye nabi o batool ki dunya se jab imame hassan ka safar hua jab zehr ka imame...
barse hai teer haye janaze pe aap ke ye ek aur taaza sitam aap par hua jab zehr ka imame...
tukde giray hilal bahattar jo tasht may aaghaz e karbala se jahan ba-khabar hua jab zehr ka imame...
|
|