ye farsh e aza sab ke liye hai zehra ki dua sab ke liye hai
ye farsh e aza farsh e buka karbobala hai ye khaak e najaf khaak e haram khaak e shifa hai ye noor e khuda qibla numa arsh e khuda hai jalne na do nafrat ke diye pyari hawaon hai ek khuda ek nabi sabko batao aur kaho labbaik hussain labbaik ye farsh e aza... zehra ki dua...
dunya may saf e matam e shabbir bichao khahish hai ye zehra ki ise bhool na jao paigham e hussain ibne ali sabko sunao insan shanasi e azaakhano may aao ye amn ka paigham hai dunya ko sunao aur kaho labbaik hussain labbaik ye farsh e aza... zehra ki dua...
shabbir ne sikhlayi hai insan shanasi insan ki hidayat ke liye jaan lutaadi hai majlis e shabbir isi nuqte ki aadi allah ki dharti pe na tum khoon bahao chahat ke shajar phool mohabbat ke khilao aur kaho labbaik hussain labbaik ye farsh e aza... zehra ki dua...
insan ki nigehban azadari e shabbir momin ka hai emaan azadari e shabbir rishton ki hai pehchan azadari e shabbir is dars e mohabbat ko suno aur sunao abbas e alamdaar ke parcham ko uthao aur kaho labbaik hussain labbaik ye farsh e aza... zehra ki dua...
ye karbobala kya hai ye maqtal nahi maqtab is maqtabe e aali ki mudarris hui zainab jis bibi ne mazboot kiya aur bhi mazhab is bibi ke khutbon ko nisabon mai padhao in phoolon ko guldaan e aqeedat may sajao aur kaho labbaik hussain labbaik ye farsh e aza... zehra ki dua...
gar shauk e ziyarat hai azakhane may aao gar amn ki chahat hai azakhane may aao dehshat se jo nafrat hai azakhane may aao jannat ki zarurat hai to is gham ko manao dunya se sitamgaaron ke fitne ko mitao aur kaho labbaik hussain labbaik ye farsh e aza... zehra ki dua...
ye aun o mohamad ali akbar ka hai matam abbas sakina ali asghar ka hai matam ye zainab o kulsoom ka hyder ka hai matam wo dekho safeerane aza aate hai aao ay sarwar o rehaan chalo noha sunao aur kaho labbaik hussain labbaik ye farsh e aza... zehra ki dua...
|
|