hussainyo utho utho hussain ki sada suno dua sayyeda ho tum sadaye sayyeda suno
nabuwato ke azm ka hussain virsadaar hai chamane haq ke aaj bhi hussain se bahaar hai jahan may hussain se rasool ka waqar hai hussain ki khushi may hai raza-e-kibriya suno hussainyo utho utho....
hussain bemisal tha hussain bemisal hai hussain lazawaal tha hussain lazawaal hai ghame hussain rokh de kisi ki kya majaal hai rahega gham hussain ka khuda ka faisla suno hussainyo utho utho....
ye shahe mashraqain hai ali ka noore ain hai ye sayyeda ka laal hai nabi ke dil ka chain hai sawar doshe mustufa jahan may hussain hai isi ko paraye jigar rasool ne kaha suno hussainyo utho utho....
hussain ke sharaf pe khud kitabe haq gawah hai hussain hai shaheede haq hussain deen panah hai hai jisme sab ke sab ali hussain ki sipaah hai bata rahe hai ye sharaf tamam auliya suno hussainyo utho utho....
pada jo waqt deen par to apna sar kata diya rahe khuda may isne apna saara ghar luta diya nawasaye rasool hoo jahan ko ye bata diya baghaur istighasaye shaheede karbala suno hussainyo utho utho....
manao gham hussain ka saro ko apne peet kar musibate hussain par lahoo lahoo rahe nazar bahao ashk khoon ke muhib ho sayyeda ke gar hai ashqe gham hi marhame shaheede karbala suno hussainyo utho utho....
shaheed ran may hogaye jawan akbare jari hussain ke galay pe karbala may chal gayi churi kiya nabi ki aal ko yazeed ne aseer bhi yazeediyat ke zulm ka yahi hai waqia suno hussainyo utho utho....
shuja aur riyaz ki hussain se hai ilteja ghame firaaq door ho bulaye jald karbala dare hussain se milay ghame hayaat ki dawa yehi hai bas jahan may hamara mudda-a suno hussainyo utho utho....
|
|