hussain janam hussain janam
maqtal may khule sar yehi kehti rahi madar hussain janam.... pyase galay pe chala haye zulm ka khanjar hussain janam....
sehra e karbala may hua zehra ka nazool beti ke saath rote huwe aagaye rasool zehra ka baazu thaame huwe rote hai hyder hussain janam....
dekho na alamdar raha aur na lashkar na aun o mohamed rahe na qasim o akbar ladte huwe laakhon se nazar aaye jo sarwar hussain janam....
ladte huwe shabbir ne jis dam suni sada ay nafse mutmain na palat kehta tha khuda sajde may rakha shah ne sar khaak ke upar hussain janam....
khanjar ko liye haathon may wo shimr chala hai pyase galay pe shah ke khanjar ko rakha hai ye dekh ke roti rahi shabbir ki madar hussain janam....
kehte thay ke ay shimr ye ahmed ka pisar hai aur pyas ki shaiddat se jala uska jigar hai pani usay pilado dua denge payambar hussain janam....
sar khole huwe fatema karti tahi faryad sar kaat ke hathon may utha legaya jallaad zainab ne dare qaima se dekha tha wo manzar hussain janam....
khoon aasman se barsa udhar karbobala may aur fathe ki naubat baji wan ahle jafa may sajjad se kehti thi utho abid e muztar hussain janam....
sajajd ne tab chaunk ke sar apna uthaya sar hazrate shabbir ka wan naize pe paaya kehte thay salam aap pe ay zehra ke dilbar hussain janam....
farmati thi zehra ke mere yusuf e saani pyase hi gaye dunya se paaya nahi pani ab khuld may nana tere denge tujhe kausar hussain janam....
zehra se ye farmane lagay ahmad e mukhtar de sabr tujhe fatema ab khaaliq e ghaffar zibhe azeem bangaya hai ab mera sarwar hussain janam....
farmate thay ye zehra se ro ro ke murtaza zaalim ne mere bache ko maara hai be-khata shabbir ke laashe pe yehi kehte thay hyder hussain janam....
ye sab ghulam aap ke hai hazrate shabbir aijaz o aaqif ki badhi is liye taukeer rote huwe kehte hai jo aakar sare mimbar hussain janam....
|
|