hussain ibne ali ki karo azadari furaat e ashq e aza hashr tak rahe jaari hussain ibne ali ki....
falak pe chand nazar aagaya moharram ka hai soghwaar mahina hussain ke gham ka khuloos e dil se karo ehtamam matam ka nabi ki aal se karte raho wafadari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
tumhare waaste zehmat uthayi maula ne ye dukh ye ranj o musibat uthayi maula ne jawan bete ki mayyat uthayi maula ne do pursa shah ko ab karke girya aur zaari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
bala ke dasht may wo paasban e ahle haram kata ke shaane bachaya hai deen ka parcham hum isliye bhi uthate hai ba-wafa ka alam zamana dekh le be-dast ki alamdari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
huwe hai baap ke haathon pe munqalib asghar lahoo may dooba hua hai ye dard ka manzar jo teer aake laga bezaban ki gardan par wo teer wazn may tha bezaban se bhaari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
zameen royi hai chashme falak bhi hai purnam nabi ki aal pe dhaaya gaya wo zulm o sitam sawar e doshe payambar ka tha khuda ki qasam usi ki laash ko pamaal karte ha naari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
sitam huwe jo haram par bataun mai kaise gala hussain ka kaata hai jab sitamgar ne ridayein bibiyon ki chin gayi jalay qaime tamache khaati thi har dam hussain ki pyari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
nigahe haq may ibadat hai majlis o matam ho daur koi bhi karte raho hussain ka gham yehi to fatema zehra ki dil ka hai marham adaye ajre risalat hai sheh ki gham khaari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
jo khaar paon may daste hai aur nikalte hai hai zauf itna ke girte hai aur sambhalte hai jo raahe sham may sajjad jhuk ke chalte hai hai tauq bediyon ki is qadar gara bari
hilal nauha ye rehan ne pada aisa har ek simt hai chaayi gham o alam ki ghata utha hai majlis e sarwar may shor girya ka har ek aankh se ashk e aza huwe jaari furaat e ashq e aza... hussain ibne ali ki....
|
|