baap se maange ijazat ran ki jab kadiyal jawan
thaam kar dil shah bolay pehle do akbar aza
rodiye kauno makan jab kaha wo naujawan
allahu akbar allhu akbar

khoon may doobi ali akbar ki jab aayi sada
ladkhadate suye maqtal chal diye shahe huda
haye ali akbar haye ali akbar

pahonch kar dekha ali akbar ka sheh ne haal e zaar
seene may barchi gadi hai dard se hai be-qaraar
haye ali akbar...

seena e akbar se barchi ko nikale jab hussain
sheh ke qaime se utha wa akbara ka shor o shain
haye ali akbar...

gul hua pal bhar may laila ki umeedon ka charaagh
rehgaya ek maa ke dil may hasrat o armaan ka daagh
haye ali akbar...

sheh ki nazron may hui tareek aashiq kayenaat
sar jhuka kar ro rahe hai hoor o ghilma ek saath
haye ali akbar...
Noha - Haye Ali Akbar
Shayar: Aashiq
Nohaqan: Azadari Murshidabad
Download Mp3
Listen Online