shaam haye shaam hai sab ki jholiyon may pathar ye kaunsi basti hai fizza hota hai charagha kyun ghar ghar ye kaunsi basti hai fizza shaam haye shaam
poocho to zara amma insay kyun dekhne humko aatay hai har simt khushi ka aalam hai bazaar sajaye jaate hai kyu eid ke jaisa hai manzar ye kaunsi basti hai fizza shaam haye shaam hai sab ki jholiyon...
sajjad ke aankhon se ab tak aansu hi baraste dekhe thay ab dekh rahi hoo mai uski aankhon se musalsal khoon behte poocho to kisi se ye jaakar ye kaunsi basti hai fizza shaam haye shaam hai sab ki jholiyon...
baaghi aaye baaghi aaye ye kaisi manadi hoti hai lagta hai zamane baad koi is shehr may shaadi hoti hai kuch aisay baam o dar ye kaunsi basti hai fizza shaam haye shaam hai sab ki jholiyon...
hum sab ke saro se behte hai kis waaste ye khoon ke dhaare koi khaulta pani phayk raha hai koi phaynk raha hai angaray sab mil kar maarte hai pathar ye kaunsi basti hai fizza shaam haye shaam hai sab ki jholiyon...
waada jo kiya tha yasrab may aata hai yaad wohi waada mehsoos mujhe ye hota hai takta hai koi mera rasta kya shireen ka hai paas may ghar ye kaunsi basti hai fizza shaam haye shaam hai sab ki jholiyon...
quran sunaye jaate thay shabbir sare noke naiza rota tha takallum ibne ali jab poochti thi binte zehra kyun girta hai abbas ka sar ye kaunsi basti hai fizza shaam haye shaam hai sab ki jholiyon...
|
|