giri hai khaak pe zainab sambhaal ay fizza ali ki beti ka sadqa nikaal ay fizza
kaha ye fizza se shabbir ne dam e ruqsat meri sakina ka rakhna khayal ay fizza giri hai khaak pe...
rida na denge layeen maang mat rida insay bas ab to khaak hi baalon pe daal ay fizza giri hai khaak pe...
abhi to sham ke raste hai sabr kar ke guzar abhi to honay hai mushkil sawaal ay fizza giri hai khaak pe...
har ek sawaal ke badle ye sang maarenge na kar tu rehm ka insay sawaal ay fizza giri hai khaak pe...
bacha layeeno ki nazron se binte zehra ko banaale khud ko tu zainab ki dhaal ay fizza giri hai khaak pe...
karega kis tarha ye guftugoo sharabi se batool zaadi ki mushkil ye taal ay fizza giri hai khaak pe...
bula habash ke ghulamo ko tu madad ke liye hai qaid aaj payambar ki aal ay fizza giri hai khaak pe...
khabar hai abide muztar ko ya hai tujhko khabar jo hai butool ki beti ka haal ay fizza giri hai khaak pe...
na kyun jhukaye tere dar pe sar ko noor ali ke tujhko maa kahay zehra ke laal ay fizza giri hai khaak pe...
|
|