ghar hogaya nabi ka barbad karbala may mardon may bas bachay hai sajjad karbala may
abbas hai na akbar zainab tujhe pukaare maqtal may bujh gaye hai ghar ke chiraag saare ranj o alam se dil hai abaad karbala may ghar hogaya nabi ka...
zainab ne kaise dil may is dard ko chupaya kis darja saabira thi aansu na ek bahaya bhai pe kar ke sadqe aulaad karbala may ghar hogaya nabi ka...
zainab ko karbala may kitne ghamon ne loota saydaniyon ke zewar na mehramon ne loota kya kya na guzri haye bedaad karbala may ghar hogaya nabi ka...
sab cheente thay zaalim bewon ke chadaron ko hasrat se dekhti thi ahbaab ke saron ko koi na tha jo sunta faryaad karbala may ghar hogaya nabi ka...
maon ki godiyan bhi ran may ujad gayi hai sehra may waarison se apne bichad gayi hai bas rehgayi hai baakhi ekraar karbala may ghar hogaya nabi ka...
baad e hussain aksar zainab ka tha ye noha abbas hai na qasim kis ko bulaun baba aajao tum hi dehre imdaad karbala may ghar hogaya nabi ka...
|
|