aayega jab wo waarise qurane karbala ek hashr hoga bar sare maidan e karbala aayenge uthke saare shaheedane karbala hogi sada ke lau gawahane karbala goonjegi jab sada ye imame zaman ki dene gawahi aayegi har shay jahan ki gawahiyan...
gawahe ghurbate shabbir hoga saara jahan karengi zulmatein ro ro ke zulmaton ko bayan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
falak ke saath faza bhi gawahiyan degi ghamo ki garm hawa bhi gawahiyan degi zameene karbobala bhi gawahiyan degi bahegi khaak ke zarro se mere khoon ta rawan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
kahegi sahibe wal-asr se ye roke furaad nabi ke laal pe thi tang karbala may hayaat mai khud bhi pyasi thi tashna-dahan hussain ke saath agar hussain bulate to khud mai jaati wahan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
gawahi zulm ki yun dega hurmala ka teer tadap ke rehgaya sarwar ke haath par baysheer ye imtehan tha mera na thi meri taqseer chala tha mai jo kaman se to ro padi thi kaman gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
sina batayegi aaye thay laash par sarwar tadap ke aediyan malta tha khaak par akbar gaya ho kaise sina khaynchne ka wo manzar zaeef hogaye sarwar uthayi laashe jawan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
kahenge mehdi e daura se teer aur bhaale hum hi thay zeen se sheh ko utaarne waale wo tashnagi thi ke sheh ki ragon may thay chaale har ek zakhm ke andar bhi zakhm ka tha nishan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
gawahi dene jab aayengi zainabe muztar kahengi saahibe wal asr se ye ro ro kar athara zarbe gini maine sheh ki gardan par har ek zarb ka ab tak hai mere dil pe nishan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
gawah honge shaheedane karbala saare gawah honge nabi aur ambiya saare karenge gurbate shabbir par buka saare har ek taraf nazar aayega hashr hi ka saman gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
gawah banke shaheedane gham bhi aayenge ghame hussain may aankhon se khoon bahayenge janabe mehdi e daura ko ye batayenege lutaayi hum ne bhi maula ghame hussain may jaan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
udegi khaak jab aayegi sayyeda zehra kahengi kaun hai mujhsa gawah ay beta ke meri godh may kaata gaya tha khushk gala mere hussain ke jaisa ghareeb hoga kahan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
gawahi noor ali denge abid e bemaar ay muntaqim zara sambhli jo meri haalate zaar sina ki nauk pe dekha sare shahe abraar jalay qayaam se us waqt uth raha tha dhuaan gawahe ghurbate shabbir.... gawahiyan...
|
|