galiyon may teri ay shaam kaanto pe chale sajjad tanhai se rote thay mil mil ke galay sajjad
baithe thay tamsahaii darbar sajaya tha bemaar ki ghairat ne sar apna jhukaya tha zaalim ne kaha ruk jab zainab ka taraya tha khamosh thay bas gham ke saagar may dhale sajjad galiyon may teri...
zaalim ne kaneezi may maanga tha sakina ko is baat se sadma tha is darja yateema ko bas yaas se tak'ti thi darbar may bhaiya ko kaise na tadap kar phir haathon ko malay sajjad galiyon may teri...
pardes se laute thay jab lutke madine may doobi hui dunya thi ashkon ke safeene may wo ranj o masayab thay kab lutf tha jeene may baithe rahe din din bhar suraj ke talay sajjad galiyon may teri...
yaad aate thay ghurbat may sab ahle watan apne murjhaye thay maqtal may jab ghuncha-dahan apne baba ko na de paaya afsos kafan apne kehte thay azeezon se mil mil ke galay sajjad galiyon may teri...
hargiz na sakina ne armaan e watan chora bhai se yateema ne is haal may moo moda ro ro ke aziyat se zindaan may dam toda armaan sakina ke na phoole phalay sajjad galiyon may teri...
naize pa sar e sarwar khud ashk bahata tha aur raah may ghash par ghash bemaar ko aata tha jab aag lagi durre abid pa na baata tha takte thay chacha ka sar naazon se palay sajjad galiyon may teri...
mat poochiye akhtar se kya guzri sakina par saadat ka kis dil se aada ne jalaya ghar sar peet ke karta hai irfan dua aksar aise kisi bachi ka daaman na jale sajjad galiyon may teri...
|
|