chand moharram ka nazar aagaya basgayi karbobala haye ghazab hogaya, haye ghazab hogaya fathima zehra ka bhara ghar luta kat gaya shabbir ka sookha gala
maahe moharram may ye kya hogaya kat gaya shabbir ka sookha gala
momino veeran madina hua hogayi aabad magar karbobala rotay hai marqad may rasool e khuda kat gaya shabbir ka sookha gala haye ghazab hogaya... fathima zehra ka bhara...
haye wo ashoor wo karbobala bhool na payenge ye ahle aza aale mohamed pe thi kaisi jafa kat gaya shabbir ka sookha gala haye ghazab hogaya... fathima zehra ka bhara...
hogayi pardes may barbadiyan bayn ye karti rahi shehzadiyan shaam talak jaayenge hum be-rida kat gaya shabbir ka sookha gala haye ghazab hogaya... fathima zehra ka bhara...
jab huye abbas ke baazu ke qalam hogaye be-aasra ahle haram cheeni gayi paak saron se rida kat gaya shabbir ka sookha gala haye ghazab hogaya... fathima zehra ka bhara...
saamne darya yuhin behta raha kunba mohamed ka tadapta raha teen shab o roz na pani mila kat gaya shabbir ka sookha gala haye ghazab hogaya... fathima zehra ka bhara...
|
|