ek nanhi si lehad ran may banate hai hussain khaak may doosre mohsin ko chupate hai hussain
daalte jaaate hai asghar ke badan par mitti aur qaimo ki taraf dekhte jaaate hai hussain ek nanhi si lehad...
marte dam nanhe se haathon ne jise thaama tha ab wo daaman ali asghar se churaate hai hussain ek nanhi si lehad...
laashe hurr ne kaha rumaal ye dedo jaa kar zakhm baysheer ka haathon se chupate hai hussain ek nanhi si lehad...
dhoondne aayenge is laash ko naiza bardaar chup ke bano se ye zainab ko batate hai hussain ek nanhi si lehad...
kaha sughra ne ke mar kar to miloongi sheh se mujhko maloom hai har qabr may aate hai hussain ek nanhi si lehad...
laashe abbas pa kehti thi ye zehra roke utho abbas tumhe kabse bullate hai hussain ek nanhi si lehad...
koi zainab ko bula laye takallum jaa kar barchi akbar ke kaleje se churate hai hussain ek nanhi si lehad...
|
|