darbar may ye kehti thi zahra ki laadli mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi
zaalim hai haath jod ke ye ilteja meri mat maar tu...
jis din se hum aseer hai maa saath saath hai chehre pe ab hussain ke amma ka haath hai zahra sare hussain se lipti hai is ghadi mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
jalti zameen pa fatema ke dil ke chain ko ye zibha hote dekh chuki hai hussain ko mazloom ki hai saamne beti khadi hui mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
ek baar bas aseer saron par nigaah kar ghazi tadapta hai tere har ek waar par tadpa raha hai kyun usay marne ke baad bhi mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
zulm o sitam se tera agar dil nahi bhara le khahare hussain se badla hussain ka dele kuch aur mujh ko saza taaziyano ki mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
zulfein pakad ke pusht se kaata gaya ye sar khooni ke ghar tanoor may rakha gaya ye sar aisi bhi kya nabi ke nawase se dushmani mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
pehle hi sar hussain ka zakhmi hai dekh le hum se zyada wo sar e shabbir ne sahe bazaar may jo barse thay pathar abhi abhi mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
is sar se ek baal bhi toota kabhi agar maa raat bhar tadap thi pehlu may baith kar zaalim chala na qalb pe amma ke phir churi mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
binte ali ka mir takallum tha ye bayan ab aur le na meri khamoshi ka imtehan ye lab hilay to hogi qayamat bapa abhi mat maar tu labon pa mere bhai ke chadi darbar may ye... mat maar tu...
|
|