dhalne lagi jo raat may bewarison ki sham aata hua sawaar jo dekha suye qayaam binte ali ne thaam ke dil thaam li lajaam goonji sada e dukhtare zehra e nek naam
chingayi rida ghar ujad gaya aap thay kahan haye baba jaan ran may kat gaya bahai ka gala aap thay kahan haye baba jaan
thaam ke wo dil khaak par gira hoo bahoo jo tha shakle mustufa uske seene par naiza jab laga aap thay kahan haye baba jaan chingayi rida...
nanha sa gala teer se chida khoon jab baha larzi karbala chehre par wo khoon bhai ne mala aap thay kahan haye baba jaan chingayi rida...
mashk ki taraf teer jab chala mere sher ka baazu jab kata mashk jab chidi gurz jab laga aap thay kahan haye baba jaan chingayi rida...
bhoolungi na mai wo dard ki ghadi chal rahi thi jab bhai par churi de rahi thi mai us ghadi sada aap thay kahan haye baba jaan chingayi rida...
lootne ko jab aaye ashkiyan ghar ka ghar tha jab sholon may ghira chin rahi thi jab sar se ye rida aap thay kahan haye baba jaan chingayi rida...
lag rahi thi jab moo pe sayliyan haye kano se tha lahoo rawan jab gohar chinay kurta jab jala aap thay kahan haye baba jaan chingayi rida...
haye baba tha honton par naved ro rahi thi baag thaam kar naved goonjti thi ye dasht may sada aap thay kahan haye baba jaan chingayi rida...
|
|