ghareebe zehra ke naukar ye aashikane aza raahe wafa pe chale hai musafirane aza dua e fatema zehra ke saayeban ki tarha chala hai jaanibe manzil ye karwan e aza
salaam zairan e hussain salaam aashikan e hussain safare ishqe hussain
hussainiyo tumhe karbobala bulaati hai safare ishq par chalo saath mere hussainiyo sunnate bibi zainab ko poora karo halmin ki sada par labbaik kaho labbaika ya hussain rasme sajjad poori karo karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
zairaane hussain karbala ka ye gham dil may zinda rahe ek pal na ho kam saal bhar majlise ho aur rahe aankh nam baad e ashoor haathon may lekar alam khaafela ek tarteeb do karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
jiski chadar ko tum roye ho umr bhar jis ka ek roz may lut gaya saara ghar apni marqad may kehti hai wo nauhagar mai bhi jaati hum tum bhi karo ye safar hukm e zainab ki takmeel ho karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
sabr ka wo khuda yani zainul liba pahan kar bediyan khoon rota raha karbala se suye shaam paidal gaya chuth ke zindan se phir suye karbala jis tarha wo chala tum chalo karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
baap ki yaad may dil jalaati hai wo qaid khane may gham yun manati hai wo apne baba ko ab bhi bulaati hai wo karne chehlum suye dasht jaati hai wo gar sakina ke gham-khwar ho karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
hai safar ishq ka ek musalsal safar qariya qariya safar sehra jangal safar sakht garmi ho din raat paidal safar karbala tak najaf se wo paidal safar mere hum raah tum bhi karo karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
door hogi thakan us ghadi ahle gham karbala may rakhoge jo pehla qadam hogi pesh e nazar qabre shah e umam ek maa ki fughan sunke royenge ham mere zakhmon ka marham bano karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
aashiqane hussain ishq emaan hai ishq ka ye safar dil hai aur jaan hai haan ye irfan o mazhar ka elaan hai binte zehra ka zehra ka armaan hai unka armaan pura karo karbala ke shaheedon ka chehlum karo karbala may
|
|