ahle haram ko koofi o shaami satate hai mushkil kusha ke potay ko qaidi banate hai koofa wohi hai jiske ali hukmran rahe unhi ki betiyon ko khule sar phirate hai ahle haram ko... mushkil kusha ke...
chashme sajjad ne har dard ka manzar dekha noke naiza pe sare sibte payambar dekha
khoon rone lagi sajjad ki aankhein payham jab se maa behno ko balwe may khule sar dekha chashme sajjad ne...
maarte thay jo sakina ko tamache aada jaane kis dil se ye bemaar ne manzar dekha chashme sajjad ne...
neele ruqsaar thay aur kaano se behta tha lahoo dukhtare shah pa ye jor-e-sitamgar dekha chashme sajjad ne...
dil pa kya guzri sakina ke khuda hi jaane tasht par baap ka rakha hua jab sar dekha chashme sajjad ne...
kaise zainab ne bhala dil ko sambhala hoga halq par bhai ke jab shimr ka khanjar dekha chashme sajjad ne...
ek barchi si kaleje may lagi ashk bahay maa ne jis dam ali akbar ka kata sar dekha chashme sajjad ne...
sar barehna jinhe dekhi na kabhi chashme falak unko bazaaron may be-maqna o chadar dekha chashme sajjad ne...
ye sawaal aaj bhi khursheed se karta hai hilal tune kin aankhon se sheh ko tahe khanjar dekha chashme sajjad ne...
|
|