har ek ko ye saadat naseeb ho karbobala ki sab ko ziarat naseeb ho chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala... ye dil hai beqarar chalo karbala chalay chalo karbala...
abbas e naamdaar ke rauze pe jaayenge jaa kar wahan sakina ka nauha sunayenge dekhenge wo dayaar chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala...
ghar apne aansuon se karenge wo ham zameen khakar sina gira tha jahan akbar e hazeen sab honge ashk baar chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala...
ahle haram ke qaime jalaye gaye jahan matam karenge aag ke sholon pe hum wahan jaane karay nisar chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala...
ashk e ghame hussain milaye furaat may nauhe ke sab areeze bahaye furaat may maujon ko de qaraar chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala...
phir pa ba rehna jayenge bazaar e sham may zainab gayi thi jis tarha darbaar e aam may dil ki hai ye pukaar chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala...
dashte bala may banu e dilgeer ki fughaan ab bhi sunayi deti hai asghar ki hichkiyan aahon ke hai hisaar chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala...
mehshar badi hai baat ke ho shayire hussain phir to kahenge log tumhay zaayire hussain bad jayega viqaar chalo karbala chalay ay sheh ke azadaar chalo karbala...
|
|