binte zahra ka khula sar hai khuda khair kare aur har haath may pathar hai khuda khair kare
hur ke bete pe hi shabbir bahot roye thay ab to laashe ali akbar hai khuda khair kare binte zahra ka...
maarte hai wahan naizon ko zameen par zaalim dafn jis ja ali asghar hai khuda khair kare binte zahra ka...
kuch qadam door khadi dekh rahi hai zainab shimr ke haath may khanjar hai khuda khair kare binte zahra ka...
chaunk kar khaab se kehti thi watan may sughra kaisi mushkil may mera ghar hai khuda khair kare binte zahra ka...
peeche deewar hai aur jalta hua dar aagay beech may binte payambar hai khuda khair kare binte zahra ka...
be-rida jaana hai zainab ko wahan par ke jahan har koi dushman e haider hai khuda khair kare binte zahra ka...
hai chadi haath may zaalim ke labon par hai hasi tasht may sheh ka rakha sar hai khuda khair kare binte zahra ka...
mir sajjad ye shirin ne kaha rote huwe kiski naize pe ye chadar hai khuda khair kare binte zahra ka...
|
|