bhare darbar may zainab ne sada di ghazi teri khwahar ko kisi ne na rida di ghazi bhare darbar may...
karbala kya thi hai kya shaam ye mujhse poocho sakhti har deesh e ayyam ye mujhse poocho sola sau meel ne dunya hi mita di ghazi bhare darbar may...
haye baaghi ki behan kehke bulaaya mujhko kya bataun tujhe kis tarha sataya mujhko yun mohamed ki nawasi ko saza di ghazi bhare darbar may...
aansuon ne likhi tehreer jale daaman par dard hote gaye tasveer jale daaman par aisi haalat hai sakina ki bana di ghazi bhare darbar may...
dekha jab khoon may tar fatema jaaya maine bhai ki laash pe tha khud ko giraya maine maine allah ko ya tujhko sada di ghazi bhare darbar may...
tez khanjar se kahin tez hai nazron ki chuban ab nishan daal chuki meri kalayi may rasan aane jaane ki na thi behan ye aadi ghazi bhare darbar may...
saikdon kursi nasheen baithe hai darbar may dekh teri khwahar hai ghiri majmaye aghyaar may dekh karbala shamiyon ne sham may laa di ghazi bhare darbar may...
ghair ki nazron se zainab ko chupane ke liye apni maajayi ka parda banane ke liye nauke naiza se kehef sar ne sunaadi ghazi bhare darbar may...
maaf karna hai unhe ahasan wo abid hai kahan kal haqeeqat may dhale aaj hai dono ka gumaan kaash ho hashr may ek ye bhi manadi ghazi bhare darbar may...
|
|