sab phoolon ke gehne may sawari dulhan aaye tum jaise ho bas waisi hi pyari dulhan aaye sar pe agar sehra sajana, haat pe kangna jo bandhana bhaiya mujhe bhool na jaana
fathima sughra ne ye akbar ko likha hai bhai salamath raho behna ki dua hai baade dua dil may ye armaan bapa hai masnade shaadi jo bichaana bhaiya mujhe bhool....
baba ki aaghosh may mai bhi to pali hoo bhaiya teri ungli pakadkar mai chali hoo kyon mai teri chao se mehroom rahi hoo baba ki jab chao may jaana bhaiya mujhe bhool....
baba se kehna ki meri jald khabar le toot na jaaye jahin baba meri saansein kat-ta nahi din na guzarti hai ye raatein khat mera baba ko sunaana bhaiya mujhe bhool....
bhaiya tere baad jo din eid ka aaya eid ke din eidi may gham maine hai paaya mujko bhare ghar ki judaai ne rulaaya dukh ye mera sab ko bataana bhaiya mujhe bhool....
sunti hoo karbal ki bahut garm hawa hai amma se kehna ke ye sughra ne kaha hai phool sa asghar jo mera saath gaya hai dhoop se jab usko bachaana bhaiya mujhe bhool....
behno ka dil jaane jigar hota hai bhaai aankhein teharti hai jidhar hota hai bhaai mere tadapne ka asar hota hai bhaai tum ho jahan mujko bulaana bhaiya mujhe bhool....
bhaiya mujhe rehta hai har waqt ye ehsaas bhool gaye kya mujhe mere chacha abbas aaye alam aaye sakina ho mere paas aas meri tod na jaana bhaiya mujhe bhool....
amma se kehna ke sakina ki qasam hai faasla ab khabr se bhi maut ka kam hai dayr na karna ke mere honton pe dam hai haath dua ko jo uthaana bhaiya mujhe bhool....
haaye khate sughra ke aakhir may lika tha acha mere bhaai khuda ko tumhein saumpa sarwar-o-rehaan ye jumla bhi ajab tha acha meri khabr pe aana bhaiya mujhe bhool....
|
|