ek zaayire sham se jab aaya tha uske labaon par noha poocha jo kisi ne ay zaayir kya tune wahan par dekha bola rokar haye mat poocho phat-ta hai jigar haye mat poocho bazaare sham se aaya hoo
us shehr e sitamgar may ab tak be-ghairat log hi baste hai kal ahle haram par haste thay ab ahle aza par haste hai haye mat poocho, haye mat poocho kya manzar mai dekh aay hoo bazaare sham se...
un raahon ko bhi dekha hai sadaat jahan thay be-chadar hay ahle haram pabande rasan aur unpe baraste thay pathar haye mat poocho, haye mat poocho kya zakhm jigar laaya hoo bazaare sham se...
chauda sau baras guzre lekin wo aaj bhi reet nibhaate hai bazaaar sajaye jaate thay bazaar sajaye jaate hai haye mat poocho, haye mat poocho wo galiyan mai dekh aaya hoo bazaare sham se...
apne ajdaad ki rasmo ko wo ahle shaam nahi bhoolay kal bhi thay tamashayi zaalim ab tak wo log nahi badle haye mat poocho, haye mat poocho ye dard wahan laaya hoo bazaare sham se...
bazaar ke raste dekhe to sajjad ka rona yaad aaya haste huve chehre dekhe to sajjad ka rona yaad aaya haye mat poocho, haye mat poocho kya yaad wahan se laaya hoo bazaare sham se...
un sham ki galiyon may kaise abbas ki khwahar aayi thi haathon may rasan thi zainab ke aur haye khulay sar aayi thi haye mat poocho, haye mat poocho ye soch ke mai thar-raya hoo bazaare sham se...
dil khoon ke aansoo rota tha sajjad ka un bazaaron may be parda haram ki haalat par haste thay sharabi raahon may haye mat poocho, haye mat poocho dil may ye dard basaya hoo bazaare sham se...
ye soch ke dil phat jaata hai sajjad pe kya guzri hogi baabe saa'at par rukh kar aulaad e payambar roti thi haye mat poocho, haye mat poocho kaise zinda laut aaya hoo bazaare sham se...
mai sham ke un bazaaro se ye zakhm e jigar laaya mazhar tum poochte ho tehreer may kya roodade safar laaya safdar haye mat poocho, haye mat poocho nauha ye zubaan par laaya hoo bazaare sham se...
|
|