har ek jaanib udasi hai, aza ki rooh pyasi hai fazaon may lahoo ki phir wohi manoos khushboo hai bapa hai dhadkano may tashnagane karbala ki pyas ka matam najane phir kisay ye ruth mayassar ho so ashkon ke areezo se alam ki chaon may aakar wafa ke ahed ki tajdeed karlijay ke ye mausam wafadari ka mausam hai azadari ka mausam hai azadari ka....
sare farshe aza aao azadari ka mausam hai lahoo aankhon se barsao azadari ka mausam hai
utho ishqe ali walon tumhay manzil bulaati hai suno karbobala walon sada hal min ki aati hai sare maqtal chale aao azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
hateli par dhara hai sar badan sayyar rakha hai yahan har fard e millat ne kafan tayyar rakha hai adoo ko jaake batlao azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
bayan de zakhm may mashkeeza abhi rota hai ye pani abhi maujon ke seene may chupi hai ek tughyani ay dunya bhar ke daryaon azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
kathin halaat hai aise ke ab jeena musibat hai ghutan aisi hai ay humdam ke dum lena ghaneemat hai alam ghazi ka lehrao azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
binaye aale ahmed par khuda tumko jazaaye de nikharo aise aulaade ke zehra bhi duayein de hussaini khaum ki maaon azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
kaha shabbir ne maa ki tarha darbaar jaogi na dogi baddua tum jab sare bazaar jaogi qasam zainab meri khao azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
uthake nanhe haathon ko duayein deke jaati hai sakina karbala walon ka pursa lene aati hai azakhano ko mehkao azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
yehi shame ghariban hai jalay qaime hai ghurbat hai gareban chaak kar dalo ke zainab par musibat hai hawaon baal bikhrao azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
kabhi rizwan hum hotay hai jo halaat se muztar hawaye parchame abbas kehti hai suno mazhar mere saaye may aajao azadari ka mausam hai sare farshe aza aao....
|
|