azadaro soghwaro rone walo pursadaro ay zaairo qadam ko rakho dekh baal kar kis kis ka khoon baha hai na jaane kahan kahan ay zaairo qadam...
halq e sagheer teer se jab zakhmi ho gayi sehra e karbala may bahi khoon ki nadi aur mayyat liye hussain bhi tadpe hai kis qadar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
ek naujawan tha jiska jigar chalni ho gaya kitna badan may khoon tha akbar ka beh gaya thi shakle mustafa ke lahoo se zameen tar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
mayyat jawan pisar ki liye jab chale hussain phir naujawan ki laash liye gir pade hussain seene may phat na jaye kahin shah ka jigar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
farwa ke ek chand ko aisa grehan laga maqtal may jiske jism ka tukda hai ja ba ja dhalta hai khaak o khoon se shabbar tera pisar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
reti pe khoon hai ab bhi sayeed o zohair ka hai ja ba ja habib ka hurr ka burair ka har jism tha zameen pe naizon pe sab ke sar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
is sar zameen pe khoon hai mohamed ke aun ke is sar zameen pe khoon ke katre hai jaun ke arz e bala may ahle falak bolay aan kar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
ashoor ko hussain ka chalna muhaal tha maqtal ka waqt asr tha zahra ka laal tha roya kiye hussain yehi soch soch kar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
jab sibte mustafa ke galay par churi chali zainab khadi hai ye samaa dekhti rahi behre madad bulaati kise haye nauhagar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
har laash ran may ghodon se pamaal ho gayi ashoor ko ye arz e bala laal ho gayi sajjad bhi pukaar uthe ghash se chaunk kar kis kis ka khoon... ay zaairo qadam...
nauha raqam ho kis tarha ay arze karbala rehan ke bayan pe mubarak ne ki buka hum karbala pahunch ke pukaare ba chashme tar labbaik ya hussain
|
|