ay nana teri ummat se tera deen bacha kar laayi hai teri be-ghar zainab aayi hai be-chadar zainab aayi hai tera deen bachakar laayi hai
poocha jo kisi ne zainab se bhai hai kahan to zainab ne ek muthi khaak uthayi hai aur khaak hawa may udayi hai teri be-ghar zainab aayi hai ay nana teri ummat se....
quran tha jo shabbir ka sar maqtal may sumon se rondha gaya juz [tan] tha jo tan ka kurta wo khoon may dooba laayi hai teri be-ghar zainab aayi hai ay nana teri ummat se....
be jaan ho jine chup darwaze saabit parde be-jumbish lab ya ghar may hai ek sannata ya zainab ki tanhai hai teri be-ghar zainab aayi hai ay nana teri ummat se....
maqtal may lagi thi keemat e deen boli dete thay dushmane deen ay nana maine keemat e deen apni chadar se chupayi hai teri be-ghar zainab aayi hai ay nana teri ummat se....
tha jisne sawar karaya jab zainab ki sawari nikli thi ay shehre madina kahan hai wo zainab ki sawari aayi hai teri be-ghar zainab aayi hai ay nana teri ummat se....
us chadar se hi kaabe ki hurmat ka banega ghilaaf naved bhai par se sadqa karke jo chadar zainab aayi hai teri be-ghar zainab aayi hai ay nana teri ummat se....
|
|