ay musafir be kafan tu khaak par wa hasrata mai musafir sham ki hoo dushmano may be rida alwida alwida alwida
boli zainab ay mere majaye ye kya haal hai kaise pehchanu tera laasha bahot pamaal hai aah re anta aqi kya hai tu hi bhaiya mera mai musafir sham... ay musafir be kafan...
kya tumhi ibne zehra kya tumhi ibne ali kya tumhi bhai hassan ke aur jaane zainabi ay gule baaghe mohamed haal ye kya hogaya mai musafir sham... ay musafir be kafan...
na rahi nalayn na malboos na dastaar hai ay ghareebe fatema tu khuld ka sardar hai ay tane uryan tera to aaj sab kuch lutgaya mai musafir sham... ay musafir be kafan...
mai rasan basta chali waada nibhane ke liye ghar may qaatil ke teri masnad bichane ke liye kal yehi masnad bana dungi farshe aza mai musafir sham... ay musafir be kafan...
bhai amma aur nana ka padar ka waasta baat kar mujhse baradar khol de aankehin zara dekh to chehra behan ka kis khadar murjha gaya mai musafir sham... ay musafir be kafan...
laashaye be-sar tadap kar ye sada dene laga ay behan waada nibhake mai to maqtal se chala thi sada rehan o sarwar haye khaahar alwida mai musafir sham... ay musafir be kafan...
|
|