abbas ke laashe par bayan karte thay sarwar ay mere baradar gardan pe chalega meri ab shimr ka khanjar ay mere baradar
nasir na koi aur na madadgaar hai mera mai hogaya tanha loota gaya pardes may amma ka bhara ghar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
jo mere wafadar thay sab margaye ansaar koi nahi ghamkhwar ab mera alamdar raha aur na ye lashkar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
tum sogaye abbas jo darya ke kinare shano ko kata ke chin jayegi ab zainab o kulsoom ki chadar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
darwaza e qaima pe hai bechain sakina bekal hai hazeena roti hui darya pe chali aaye na muztar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
atfaal uthayenge meri pyaas ki eeza pani na milega dam todenge bache mere pyase hi tadapkar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
khush honge adoo zainab e muztar ko rulaake le jayenge darbar may be-maqna o chadar
khoon royegi har ek azadar ki aankhein dil khaynchegi aahein laayegi tere haath jo amma sare mehshar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
mai baad e shahadat bhi uthaunga alam aur hoyenge sitam aur pamaal meri laash ko kardenge sitamgar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
awaaz may rehan ke hilal aisa asar tha rone laga darya sar peet-ti thi mauje jo sheh kehte thay rokar ay mere baradar abbas ke laashe pe...
|
|