ay aun o mohamed mere
dunya ko khatakne lage do phool se chehre insano ke seeno may pathar ke kaleje talwarao se naizo se kiye tum pe jo hamlay ay aun o mohamed mere...
dono hai shaeedane wafa aun o mohamed islam ke maqsad ki baqa aun o mohamed maa karti hai laashon pe jo shukr ke sajde ay aun o mohamed mere...
bhai ka ye aalam mujhe dekha nahi jaata hai narghaye aada may mohamed ka nawasa tum hote to faujo ko bahot door bhagate ay aun o mohamed mere...
abbas e ali nehr par jaakar nahi palte pani ko taraste hai jo qaimo may ye bache darya pe wo zaalim ne kiye zulm ke pehre ay aun o mohamed mere...
ab hogayi zainab ko sada zindagi bhaari maa hoo mera pathar ka kaleja nahi waari tum dono gaye chor ke maadar ko akele ay aun o mohamed mere...
|
|